Monday, 16 February 2015

Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi, Mohsin Naqvi Poetry,


Woh Larki bhi Aik Ajeeb Paheli Thi
Pyasey Hont thy Aankh Samundar Jaysi thi,

Sooraj Usko Daikh Ker Peela Perta Tha
Woh Sarma ki Dhoop mein Dhul Ker Nikli Thi,

Usko Apny SaaYe Se Dar Lagta tha
Sooch K Sehra mein Woh Tanha Heerni thi,

Aaty Jaaty Mausam Usko Dasty Thy
Hansti Hansti Palkoon se Ro Perti thi,

Aadhi Raat Ganwa deti Thi Chup Reh Ker
Aadhi Raat K Chaand se Baatein Kerti Thi,

Door Se Ujray Mandir Jaysa Ghar Uska
Woh ApnY Ghar mein Ikloti Devi thi,

Moum Se Nazuk Jism Seher Ko Dukhta Tha
Diye Jala Ker Shab bhar Aap Pighalti thi,

Taiz Hawa Ko Rok Ker Apny Aanchal Per
SookhY Phool Ikhaty Kerti Phirti Thi,

Sub per Zahir ker deti thi Bhaid Apna
Sub Se Ik Tasveer Chupaye Rakhti thi,

Kal Shab Chakna Chor Hua tha Dil Uska
Ya Phir Pehli Baar Woh Khul Ker Royi Thi,

Moshin Kya Jaany Kion Dhoop se be'Parwah
Woh Apny Ghar Ki Dehleez Per Bethi Thi ?

By Mohsin Naqvi

No comments:

Post a Comment